What Child is this

 

“What Child is this”
Poetic Translation in URDU

 

1.
Ye kaisa bacha Goad main Maryam Ki Soya Hai
Frishtay Krte Hamd Jis ki Chopan b dekhte hain
Duny Ka Noor Shah-e-Jehan – Farishte gatay hain
Ham b gaen hamd ke geet Ibn-e-Maryam Ke

2.
Ao Badshaho Paesh Karo Osay Sona Mur Lubaan
Tamjeed Munaji Badshah Ki Sab Kren Insaan
Karo Hamd ki Awaaz buland Kanwari Gaey Lori
Paida hua ibne-maraym Gao Khushi Khushi

3.
Ye kaisa bacha Goad main Maryam Ki Soya Hai
Frishtay Krte Hamd Jis ki Chopan b dekhte hain
Charwahon Mai Ghira Badshah – Farishte gatay hain
Ham b gaen hamd ke geet Ibn-e-Maryam Ke

Dear Christians

 

“Dear Christians”
Poetic Translation in URDU

 

1.
Ae Maseeho Manao Khushi Mil kar Jhoomo Gao , Lehrao sabhi
Yak Dil or Yak Awaz ho kar – Naghme gao purjosh sabhi
Karo kaam biyaaan Ajeeb os ke Hai dehne hath fataah os ke
Kesa os ne fidia ha diya

2.
Mujay Jakra hua tha shaitan ne aur moat bhi mujh pe taari thi
har pal tha gunah ki azeeat mai Diya janam gunah main maan ne
bhi
Mai gehrai ma girta gya Aur jeevan banta gya tha saza
Or bandha hua tha gunah ne mujhay

3.
Bekaar gae meri har neki Hua fazal na ajar mila koi
Meri marzi tere khilaf rahi Aur kuch bhi bacha na tha baqi
Mera khauf bana meri mayoosi Anjam bna tha Maut meri
Dozakh jesa dukh dard saha

4.
Hui Baap ki Marzi Puri thi – Kanwari Maa se Paida hua
Aur Khuda ki Khushi Krne Puri – Wo Bhai Mera Banany Aya
Kiya Apne Aap ko Yu Khali – Ke Le Li Surat Khadam Ki
Aur Shaitaan se Aazaad Kiya

Lord Keep us Steadfast

 

“Lord Keep us Steadfast”
Poetic Translation in URDU

 

1.
Qaim Hon Ham Ma Teri Baten Rok Unhen Jo Jung or Quat se
Yesu ko girana chahtay hain Dushman hain wo os ki qudrat ke

2.
yesu tu hi qudrat wala hai tu hi khudawandon ka khuda ha
Apne logon ka muhafiz ho Daiyem ho teri hamd dua ha

3.
Bazurg khuda rahat dene walay bhej muhabat – Aman zameen
par de
Jang larai maut se nikaal Or zindagi hmesha ki de day

4.
Qaim Hon Ham Ma Teri Baten Rok Unhen Jo Jung or Quat se
Yesu ko girana chahtay hain Dushman hain wo os ki qudrat ke

 

If God had not been on our Side

 

“If God had not been on our Side”
Poetic Translation in URDU

1.
Jo hamari taraf na khuda hota – Aata Na Hmari Madad ko
Ghumand or Zor Tab Dushman ka – Mayoos kar deta ham Sab ko
Hum Rehte Khofzada un se – Har Tarah ke har dushman se
Hamare thay Muqabil jo

2.
Rab Chahay kabhi na badi ka qehar – kar de barbad hmari jaan
Or Shaitan Dozakh ma laa kar – Karay Dafn Hamaray Jism o Jaan
Ke Mitaey Hamen Zulmat ka Toofan – Ablees azal se hai dushman-eJaan
Jo chahay mitana hamara nishan

3.
Hai Mubarik Khuda Jis ne hum ko – Dushman ke Munh se bachaya hai
Thi Jaal Ma Jaan Panchi ki tarah – Apni Qudrat se churaya hai
Or toota zulmat ka phanda – Qudrat wala ha hmara khuda
Jis ne ye Jehan Bnaya hai

A Mighty Fortress is our God

 

“A Mighty Fortress is our God”
Poetic Translation in URDU

 

 

1.Hmara Khuda Mazboot Qala – Daim hai WO Mazboot Panah
Badi Ke in Salabon mein – Deta ha madad wohi sadaa
Bachata Shaitan se Girata jo hmen
Jo zulmat se bhara Nafrat ki Taaqat se
Dharti Pe Nahi Koi Yesu Jesa

2. Apni Koshesh Pe Bharosa Nahin – befaida hain sab kavishen
Fazal Se Hai Mumkin Raasti – Jisay chun liiya hai khudawand ne
Sun Lo Ke kon ha Wo Yesu masih hai Wo
Rab Alfawaj khuda Zamanon se Sadaaa
FAteh hai jung ma Yesu Khuda

3.Burai se hai Dunya bhari – Hmen Be dil kr skti nahi
Nahi dar hmen sath hai khuda – Hamari Wohi mazboot panaah
Shaitan hai be reham Be khof rehen ge hum
Ghalib Ayen Gey Ham Fatahah Paen ge hum
Khuda Ke pak kalaam se

4.Dunya ki Qouton se Balaaa — Rehta hai Kalaam Khuda Hum Main
Pak Ruh ke Phal deta hai Wohi – Jo hum ma ha or hum os me
Har Shae Mit Jae gi Ye Faani Jeevan bhi
Mit jae ga Badan Rahe gi sadaaaqat hi
Badshahi Os ki Daayim

To Shepherds as they Watched

 

“To Shepherds as they Watched by Night”
POETIC TRANSLATION IN URDU

 

1.

Ik Shab Dekha Gadarion Ne – Pur Nur Farishton Ko Kehte
Jao Dekho Aik Nanha Bacha – Ik Aam Si Charni ma Soyaa

 

2.

Keha Tha Meeka Ne Jaise – Daud k shehar Bethelehem Main
Tujh Mai Maseeh Ik Badshah – Ban Ke Munaji Aye Ga

 

3.

Ab yesu mai kren khushi – Naraston Ka Hua Eevazi
Insan ka roop le kay wo – bhai bna – khuda abdi

 

4.

Gunah or maut se darna kya – jab sath ha sadiq khuda
ab khof nai ablees ka – yesu ne jab chura liya

From Heaven Above to Earth I Come

 

“From Heaven Above to Earth I Come”
Poetic Translation in URDU

1. Falak se Zameen Par Aya Hu Mai
Nijaat Ghar Ghar Laaya hun Main
Azeem Khushkhabri Mai Laya
Bataun Ga or Gaouun Gaaa

2. Bacha Aaj Rat Tumhare Liye
Hua Paida Paak Maryam Se
Ye Charni Mai Nanha Bacha
Zameen Par Khushiyan Laye ga

3. Yesu Jo Sab se Aala Hai
Wo Aah – o – Zari Sunta hai
Wo Ho ke Munaji Tumhare liye
Deta Hai Rehai Gunahon Se

4. Nemetein Wo Bakhstaa Hai tumhe
Rakhin Hain Khuda Ne Jo sab ke liye
Os Ki Abdi Badshahi Main
Masroor Rahen Gey Sadaa Mil Kay

Savior of the Nation Come

 

“Savior of the Nations, Come”
by Martin Luther
Poetic Translation in URDU

1.
Ban k munaji aya hai – Ibne maryam dunya ma
Heran hai zameen asmaan – os ke ajeeb tajasum pe

2.
Jism or khoon se nahi hai wo – balke ilahi qudrat se
kalam-e-khuda mujasam hua – paak kanwari aurat se

3.
Bacha ajeeb or Maan Thehri – Paak Kanwari Maon Mein
Dunya Ne Thukraya jisay – Hai Takht nasheen aasmanon
mein

4.
Baap ke takht se Aaya wo – pas osi ke janay ko
maut or dozakh pe fatteh – jeet ka geet buland karo